Widget edited by super-bee Widget edited by de-chieka

Selasa, 25 Februari 2014

Om shanti om

Sunne walo suno aisa bhi hota hai
dil deta hai jo woh chain bhi khota hai
pyaar aisa jo karta hai
kyaa mar ke bhi marta hai
aao tum bhi aaj yeh sun lo
daastan hai yeh ke ik tha naujavaan jo
dil hi dil men ek haseena ka tha deewana
woh haseena bhi ki jiski khoobsurti
ka duniya bhar men tha mashhoor afsana
dono ki yeh kahani hai jisko sabhi kehte hai
Om Shanti Om



(Naujavaan ki thi aarzoo uski thi yeh hi justjoo
us haseena men usko mile ishq ke sare rangroop)-2
usne na jaana yeh nadani hai
woh ret ko samjhaa ke paani hai
kyo aisa tha kisliye tha
yeh kahani hai
dastaan hai yeh ke us dilkash haseena ke
nigaahon dil men koi doosra hi tha
bekhabar is baat se us naujavaan ke khwabon ka
anjaam toh hona bura hi tha
tooten khwaabon ki is dastan ko sabhi kehte hai
Om Shanti Om


Sunne walo suno aisa bhi hota hai
koi kitna hase utna hi rota hai
deewani hoke haseena khai kya dhoke haseena
aao tum bhi aaj yeh sunlo
Dastaan hai yeh ke us maasoom haseena ne
jise chaaha woh tha andar se harjaai
tang dil se dil laga ke
bewafa ke haath aake
usne ik din maut hi paai
ik sitam ka fasana hai jisko sabhi kehte hai
Om Shanti Om


kyo koi katil samajhta nahi
yeh jurm woh hai jo chhupta nahi
yeh daag woh hai jo mitta nahi
rehta hai khooni ke haath par
khoon us haseena ka jab tha hua
koi waha tha pauhauch toh gaya
lekin use woh bacha na saka
roya tha pyaar uski baat par
daasta hai yeh ke jo pehchaanta hai khooni ko
woh naujavaan hai laut ke aaya
keh rahi hai zindagi katil samajh le
uske sar par chha chuka hai maut ka saaya
janmo ki karmo ki hai kahani jise kehte hai
Om Shanti Om
(Kehte hai OM Shanti Om)
Comments
0 Comments

Tidak ada komentar:

Posting Komentar

kalo menurut ente, cak ana ???